Wednesday, 20 August 2014

ye kaun hai...

Lagta hai pakshion me koi
baat chhid gai hai
Kuchh to kahte ja rahe hain
Aur ekaki gilhari jeise sakshi ho-
pakshion ki chahakne par chu chu ka
Mohar lagaye ja raha hai.
Pata nahi masla kya hai...

Itni shor gul me bhi subah ki
shanti maun khadi hai
Jeise kuchh sun nahi pa rahi ho...
Ek tallin mudra me -parvat kandar me
Tapaswini ho jeise.

Prakruti ki adima shant aangan me
Kuchh nisabd padapaat...
Koi hai... Koi nahi hai ki jhule me...
In chupchap jhulte hue patton
ko sab malum hai..
Ye gunguni dhup janta hai -
Koi hai...!

Pedon me patton ki hariyali ka dwar...
Usme se chhote mote chhidr me se
Bhumi ko chhune ki chah me
Niche girta dhup,
Ake kaid ho jata hai thandi chhaon ki
Makhmali bistruti par...
Ek dam sheetal hai ye soi padi chhaon
Isko garam nahi kar pata dhup,
Bas nahi chalta ya nahi chahta, kaun jane
Par ankh mundke let jata wohin par,
Itni badi lambi yatra karke jo aya hai..
Surya se nikal ke in thandi chhaon
Ko chhune ke lie hi to gira hai...
Han, koi hai...  

Pedon ke upar ke pile phul
Jo aj hi khile hain, dhup me nahate,
Madhumakshion sang batiyate,
Nayi pahchan karte kahte,
Koi nahi hai.
Dekhte nahi kalka phul niche gire hue hein,
Afsosh nahi girne ka...
Kisiki thake hue pairon ko aram dene ke lie
Bade chah se bichhe pade hue hein...
Ek narm kalin dhup ki reshami dhage se...

Koi dur se a raha hai-fir dur jana hai...
Aye, jaye-kya fark padta hai...
Raah -chhaon, dhup aur phulon me dhake
Bichhi padi hai...
Koi hai...
~ye kaun hai...

No comments:

Post a Comment