*Madhu-Kshyudha*/ Pile phul ka paudha/
Madhu, MadhuMakshi aurMadhu-Kshyudha
Pile phul ka paudha
Khilta rahta hai,
Jane, kaam hai jeise ye ushka,
Aur bojhil phulon se achha bhi lagta hai.
Ek byast MadhuMakshi,
Har phul ke andar tak jakar
Jane kya karta hai,
Dikshya dekar ke ata hai,
Ya khud dikshit hokar ke ata hai!
Pata nahi chalta!
Suna hai, madhu ka karovar hai uska,
So madhu lekar ke ata hoga,
Kahan, uske muhn to mitha dikhta nahi
Khali lodhra* se dhaka rahta hai
Eise me Madhu-byapaar hota keise hai!
Phulon ko puchhun sochti hun,
Par ye to eise hain
jaise kuchh jante hi na ho...
Bas khile hain...
Sahnai jeise lambe lambe pile phul,
Unhe dekh kar lagta hai,
We na madhu ke bare me jante hain,
Na MadhuMakshi ke bare me
Par bhitar unke madhu-bhandar hai!
Kya ye phul sach me kuchh nahi jante
Inka ye nirlipta bhav
kya mere ankho ke lie hi hai!
Kahin eisa to nahi,
Kisi ajeeb bhasha me MadhuMakshi se
ye batein karte rahte hein...
Jo mere samajh ke pare hai.
Kya sare ke sare phul ek hi hain-
Phul-pran, us paudhe ke!
Itne sare roop dhare hein to kebal
MadhuMakshi ki ashant Madhu-Kshyudha
Shant karne ke lie....
Jharokhe ke upar parda sarkaun,
Sab bojhil ankhon se...
Ab kuchh nahi...
Na harabhara paudha,
Na phul, na phul-pran,
Na madhu, na MadhuMakshi,
Sab bojhil.
Bas nila-narangi parde
Dhire se lahraen pankha ki hawa me,
Jane wo kya dekhe us aur,
Aur kya samjhein!
*parag, phul-renu
Madhu, MadhuMakshi aurMadhu-Kshyudha
Pile phul ka paudha
Khilta rahta hai,
Jane, kaam hai jeise ye ushka,
Aur bojhil phulon se achha bhi lagta hai.
Ek byast MadhuMakshi,
Har phul ke andar tak jakar
Jane kya karta hai,
Dikshya dekar ke ata hai,
Ya khud dikshit hokar ke ata hai!
Pata nahi chalta!
Suna hai, madhu ka karovar hai uska,
So madhu lekar ke ata hoga,
Kahan, uske muhn to mitha dikhta nahi
Khali lodhra* se dhaka rahta hai
Eise me Madhu-byapaar hota keise hai!
Phulon ko puchhun sochti hun,
Par ye to eise hain
jaise kuchh jante hi na ho...
Bas khile hain...
Sahnai jeise lambe lambe pile phul,
Unhe dekh kar lagta hai,
We na madhu ke bare me jante hain,
Na MadhuMakshi ke bare me
Par bhitar unke madhu-bhandar hai!
Kya ye phul sach me kuchh nahi jante
Inka ye nirlipta bhav
kya mere ankho ke lie hi hai!
Kahin eisa to nahi,
Kisi ajeeb bhasha me MadhuMakshi se
ye batein karte rahte hein...
Jo mere samajh ke pare hai.
Kya sare ke sare phul ek hi hain-
Phul-pran, us paudhe ke!
Itne sare roop dhare hein to kebal
MadhuMakshi ki ashant Madhu-Kshyudha
Shant karne ke lie....
Jharokhe ke upar parda sarkaun,
Sab bojhil ankhon se...
Ab kuchh nahi...
Na harabhara paudha,
Na phul, na phul-pran,
Na madhu, na MadhuMakshi,
Sab bojhil.
Bas nila-narangi parde
Dhire se lahraen pankha ki hawa me,
Jane wo kya dekhe us aur,
Aur kya samjhein!
*parag, phul-renu
No comments:
Post a Comment