Tuesday, 12 August 2014

Bhojbaaji

Kya bol Tote ko sikhate ho Mohana 
mujhe bhi sikhao,
jab ud jae panchii,
ya kho jae banshuri,
tab mai hi gaa liya karun,
Kya bol sikhate ho Mohana,
mujhe bhi sikhado,

itni narm nayanon se
jo panchii ko niharoge, Kanha,
kahin apne pran me usme na dal dun...
chhuan se jo itni chahat bharoge,
dur dur hi kahin
neha ki nadi bane bahane lagun...

kya bhojbaaji karte ho Narmile,
dard ke samandar me
khushi ki chhoti si tari baahe mai jaun...
Tumhare hi tarf jaun...
har jagah Tum dikho...
aur kahin nahin bhi...
kya bhojbaaji karte ho Narmile,
thoda mujhe bhi sikhao...

No comments:

Post a Comment