Barshuk Megh ki nashili aslesh me
ardh-murchhit Dhara...
Kahan se ye megh ae,
Kitni dur se chalke, rengte,
adha-ankh munde
akash-samudra me tairte tairte,
Kahan se ye ae...
Kaunsi parvat ki chuda me se hote hue gujre...
Kaunsi bahti hui sarita ki anusaran karte hue ae...
Jane ye Tumhare ankho ko chhute hue ae...
Jane ye kya kahne ae...
Eise jo nischup khade hain...
Jeise kuchh jante nahi,
Kuchh karna nahi...
Jeise ek hajar ek dariya bhar ki pani
apne chhati me samete hue nahi,
Eise chhae hein ye,
Eise jhuke hein mere asman par,
Jeise khula ho kisi Mauna-Manaa ki chitthi!

No comments:
Post a Comment