Raat bhar mahakte juhi ke do phool,
Mere takiya ke baju me,
Jane kitni batein karte gae,
Pahar pe pahar bitta gaya,
Char pahar jab jane ki tayari me...
Pakshi kakali me bolke gae-
Raat ki sesh hone par
sukh jaroor gaye hein ye do phool,
Par ab v mahakna baki hai,
Wo satej narm safed pankhudian
nahi rahe, sikud gae,
sukh gaye brunt aur rang v badal gae..
Par deh-diya me atm-jyoti jeise
Ant tak sugandh phailate gae...
Ye do phool Tum aur mai,
Ye mahak pyar hai...
Jo kavi malin na hoe,
Raat bhar chale,
Chandni ko chunar banae,
Taron ki kalion se saje,
Bhor hoe jab,
Na Chand, na Chandni,
Na Tara-bhara angan,
Par fir v ye zinda rahe, khile...
~Chand Phool
Mere takiya ke baju me,
Jane kitni batein karte gae,
Pahar pe pahar bitta gaya,
Char pahar jab jane ki tayari me...
Pakshi kakali me bolke gae-
Raat ki sesh hone par
sukh jaroor gaye hein ye do phool,
Par ab v mahakna baki hai,
Wo satej narm safed pankhudian
nahi rahe, sikud gae,
sukh gaye brunt aur rang v badal gae..
Par deh-diya me atm-jyoti jeise
Ant tak sugandh phailate gae...
Ye do phool Tum aur mai,
Ye mahak pyar hai...
Jo kavi malin na hoe,
Raat bhar chale,
Chandni ko chunar banae,
Taron ki kalion se saje,
Bhor hoe jab,
Na Chand, na Chandni,
Na Tara-bhara angan,
Par fir v ye zinda rahe, khile...
~Chand Phool
No comments:
Post a Comment