Tuesday, 12 August 2014

~Awajein


Rukha sukha subah me
Jab Tulsi ki paudhe ko
Dhire narm hatho se Suraj chhuen,
Yahan, is balcony me;
Tumhare ankhein khole
Chup chap si mere bhitari Kothari me,
Aur shor uthe....

Hawa hilae wind chime ko
Kabhi dhire kabhi jorse...
Ting tang, tunung, tang..
Inverter me chalta hua fan kahe-
Tanne, tanne, tanne, tanne...
Tum ho Tum ho...Tum ho...
Aur birana me koi roe bina awaj kie...

Han, wo panchhi v aj bol gaya hai,
Jo us raat ko chahaka tha
apne Sathi ke sath
Jab raat bhar mai Tumhe
gaana gaakar sunai thi...
Ye tab ki baat hai,
Aj subah nind kholte hi
Wo panchhi akeli kuchh bolke gai hai,
Jane Tumne kuchh kahla bheja hai!
Tulsi ki baag me Bhanwra
ata nahi kabhi
Par Kanha ate hein,
Nisabd ate hain...
Par har aur nishani chhod jate hain!

Tulsi phalta phulta dikhai dene lagti hai...
Patto me badhautri aur jaan bhara rahta hai,
Tabhi janu, Kanha ake gaye hain,
Ya yehi kahin Tulsi van me
Chhupke soe pade hain,
Radha ne to murali chura rakhi hai,
To bolen v to bole keise,
Banshi chup si hai,
Chup hain Banke,
Rai v chup hai...

Kahin koi shor nahi,
Fir mere andar kya madhu-makshian
Ghar kar gai hain...
Ghoon bhoon Ghoon bhoon
Awajen chalti rahti hain...
Aur jharokhe ke pash wali diwar se
Kabutar bol pade,
Jab Suryaalok unhe halke se chhunle,
Tab...

Wo khile hue do gulab,
Dur dur...
Hare patton ki karaagaar me,
Kavi na najdeekian jaan sake,
Ek dusre se kuchh kahne ke lie
Suraj ko Sakshi banate gae...
Kiranein kaam karein chithhi ka,
Sandesha idhar se udhar hoye,
Dur se hi ek duje ko kahein
Han, ham hain,
ham hain, Tumhare lie...









~Awajein
Hyderabad
12th August 2014

No comments:

Post a Comment