kya khojta hai koi
agar jindegi ek talas hai
bahuton ne kaha- khud ko pana hi jeevan hai!
bas, itna....
nahi manjoor mujhe!
agar khud ko hi pana tha
idhar ai kyun-
viswantar ki kisi dhulkan me
ek sukshm jeevan natika banke jhul rahi hoti
ya bichhurit alok punj me ek bikiran hoti!
aur us atmik star me khudko pa jati
atma-bibhuti se naha leti..
yahan kyun ai?
kya khudko pane me hi sandhan ki ant hai!
ya khudko khojte khojte kho dena
badle me kisi dusre ko pana
jo mere jeise lage
mere hi ham-sakl ho
mere batein usme
aur uski batein mujhme ghar banate ho...
kya ye aur adhik baat na hogi...
jo khudko khojte kisi aur me mai paun!
aur uski pratibimb banu
uske sath a
ek atm-samuha banaun...badhun...feilun...
usme mai
mujhme wo..
talash puri hai mere liye!
No comments:
Post a Comment