Hyderabad ki sadkein...
Ab kadam dalne par
Tere nahi lagte
Na mere lagte
Na jane ye kiske lagte hein...
Hyderabad ki sadkein...
Jeise koi saaf kar gaya
Na Tere kadam rahe
Na mere kadam rahe
Na jane kiske kadmo ki nisani
Ye sine me sajaye sajti hai
Hyderabad ki sadkein...
Kahin kahin fir v
Tere adha tirchha hasi
Akhad bakhad kadam
Kuchh ans muhn ki
Kuchh chuppi,kuchh kathaa
Samet ke rakhe hain
Hyderabad ki sadkein...
Chalte bhagte kahin ruk jate hein...
Jahan Tum asamanjas me kisi counter ke samne khade ho, dekhte hein
Tumhare pairon tale jitni gungunati andhera hai
Unko leke Chand ki kale kothri tak jate hein
Wahan jama kar ajate hein
Fir se wohin laut Jane k lie
Hyderabad ki sadkein...
Kisi ek dukan ke samne thaharte hein
Jahan Suraj se Tumne hath milai thi
Kuchh roshani lakar mere hath me rakhi thi
Kuchh muskurahat ab v palapte hein wahan...
Wohin kuchh der sans lete hein
Ye Hyderabad ki sadkein...
Fir chal pade jo ye Hyderabad ki sadkein...
Ghumte ghamte rook jate heim-wahan-
Kisi Resturant ki samne ki dhul me
Ab v jahan Tere ulte pairon ki nishani
Mere sidhe pairon ki nishani se
Ghanton batein karte hain
Jab ye Hyderabad so jati hai
Aur daudte daudte iski sadkein
Tham jate hein...
Tab ye Tere mere batein karte hein..
Ab kadam dalne par
Tere nahi lagte
Na mere lagte
Na jane ye kiske lagte hein...
Hyderabad ki sadkein...
Jeise koi saaf kar gaya
Na Tere kadam rahe
Na mere kadam rahe
Na jane kiske kadmo ki nisani
Ye sine me sajaye sajti hai
Hyderabad ki sadkein...
Kahin kahin fir v
Tere adha tirchha hasi
Akhad bakhad kadam
Kuchh ans muhn ki
Kuchh chuppi,kuchh kathaa
Samet ke rakhe hain
Hyderabad ki sadkein...
Chalte bhagte kahin ruk jate hein...
Jahan Tum asamanjas me kisi counter ke samne khade ho, dekhte hein
Tumhare pairon tale jitni gungunati andhera hai
Unko leke Chand ki kale kothri tak jate hein
Wahan jama kar ajate hein
Fir se wohin laut Jane k lie
Hyderabad ki sadkein...
Kisi ek dukan ke samne thaharte hein
Jahan Suraj se Tumne hath milai thi
Kuchh roshani lakar mere hath me rakhi thi
Kuchh muskurahat ab v palapte hein wahan...
Wohin kuchh der sans lete hein
Ye Hyderabad ki sadkein...
Fir chal pade jo ye Hyderabad ki sadkein...
Ghumte ghamte rook jate heim-wahan-
Kisi Resturant ki samne ki dhul me
Ab v jahan Tere ulte pairon ki nishani
Mere sidhe pairon ki nishani se
Ghanton batein karte hain
Jab ye Hyderabad so jati hai
Aur daudte daudte iski sadkein
Tham jate hein...
Tab ye Tere mere batein karte hein..
No comments:
Post a Comment