Thursday, 23 April 2015

Barati

Leti hun-
Aur Tum bahe ja rahe ho...
Bina tel ki balon me se
Ek khusboo jagi hai.
Aur dhire dhire seer ka dukhna
Jeise mridang ho Tere.

Andhere kamre me leti hun
Aur samne ki ghar se 
Light ai giri jharokha ko kud ke
Dahine taraf ki diwar par mere
Jharokhe ki char railing ki chhaya
Aur ek all out ki batti ki laal ankh
Fir Tum bahne lage...

Ankho me mere roshani kam
Liye leti hun andhere kamre me 
Aur Tumhe sandesha bhejne ke baad
Hriyme ek samandar bhar aya hai
Tum bahne lage-
Aur samandar gho gho...
machalne lagi hai...ab kuchh shor hai.
Jab Tu pash eise -duniya ajnabi hai!

Leti hun aur Tum bahne lage
Aur Tumhare taxi chal padi hai
Airport se-aur hathon me phone par mai hun
Bahut utsuk swar me bahut kuchh kahi ja rahi hun
Aur,...Tumhare muhn bhari
Heya bhav se baat kar rahe ho mujhse
Maap chup short cut thanda gale me
Aur Tumhare us muhn ko leke taxi chal padi hai
Hyderabad k sadkon pe
Har chauraha chura le rahe hein
Tere hasin saql se bhari motiyan kuchh...

Mai leti hun...
Phone par mystic songs me Karunesh 
Chal pada hai...
Karuna palki pe -
Utha lene wale kabhi 
visharn Vanshi ki akul murchhanaen hein
Kabhi jala-tarang ki abhimani ragini hai
Aur palki ki jharokhe se Tum dikhne lage
Kuchh tarein chhup gaye badal ke pichhe-
Jeise mere dusre baar ki friend-request 
Kahin chhup gaya...kuchh din latakne ke baad
Unatteneded...chuup gaya hamesha ke lie
Tumahre deleted FB profile ke sath...
Chhup gaye tarein...
Aur fir Tum bahne lage mere khule ankhon se..

Wo muhn...wo bhari muhn...wo aswasti Tumhare 
Wo heya-tuchha gyan...wo dhutkaarna Tumhara
Wo birakt bhav - chal pade sine me ...
Sath sath chal pade saji hui dil ki khwahisein mere
Dulhan ban ke, ghunghat bhale hi bhig jae ashuon se
Chal pade fir v neha ki chunari ode Tere pichhe pichhe
Tere chhod jane ke baad-gumnaam kisi gali me
Dhul banke bikhar jane ke lie..

Mai leti hun
Aur Tum bahne lage
Sath sath ye barati v
Ab bahut shor hai
Ke khamoshi ki darwaje pe aj shor aya hai...


~Baarati

No comments:

Post a Comment