Friday, 24 April 2015

Mai Ghash Maidan:Tu Toofan!

Bichhi hui ek ghash ka maidan hun 
Asman khul jata hai
Ek vishal phatak cheer kar
Tum utar ate ho...
Tej ki hawa k jhonke me lotpat mere ghash ki kiyariayan...
Milon tak su su... Aur toofan ki lahar...
Mai jaag jati hun gari nind se
Ab mai phul rahi hun
Uth rahi hun
Chhid rahi hun ek juar bhatta ki 
samudri chess pali ki tarha...

Bahut sare khidki ki kholne ki awaj
Aur Tere pash hone ka ahsash
Mithe Sathiya, mahu-barshi-ankhon wale!
Ghumte hein bahte hein chhati par mere
Coma me chala jata hai astitwa
Aur drip se Tu khoon me samil hota hai
Dhire dhire...
Kahne ko mai soi rahti hun
Par bhitar Tu daudta hai...
Halke se Tere pash ake khada hona
Wo bhari kadam ko dhire se rakhna 
Jab sunai padta hai
Pichhle bahut pichhle kuchh dhundle drishya dikhta hai kuchh kohre ki alishan mahal ki parda hata ke...

Ek Toofan ata hai
Gujarta hai mere upar
Aur tahas nahas me Tere kadmo ki nishan 
Aur muskurate motion ko samette hue 
Pata chalta hai
Tu kitna apna hai

Achanak haste hue mudna Tera
Ek mahak uthta hai rooh me se mere
Badlon ki ferry me 
Tere itne sare muhn yatri hain
Aur akeli mai-Tere mele me...
Tu mujhe dekhta hai khinchte najar se
Aur khinch leta hai jameen paon tale....
Ye mai ud chali Tere mahua ujle me....

No comments:

Post a Comment