Friday, 24 April 2015

Tumne Sandesha bheja hai

Pata nahi kya hai
Bahut patakhon ki awaj se kapkapaa rahi hai asmaan ki chhati...
Aur dur se baja aur ganne ki lahar uske sath bahte hue a rahi hai hawa me
Ya Akash ek box hei
Khul raha h ulta
Aur ye sab gir rahe hein upar se...
Jane cricket me India ki jeet ho
Ya kisi tyohar ho
Ya fir ho shadi byah ka alam
Par
Mujhe to lagta hai
Har baar lagta hai
Jab v itni shor ho aur baja baj uthe patakhon ki chhutne ki khushi se,
Lage,
Tumse sandesha hai
Tumhare bare me hai
Tumne kuchh kahlwa bheja h!

Mai Ghash Maidan:Tu Toofan!

Bichhi hui ek ghash ka maidan hun 
Asman khul jata hai
Ek vishal phatak cheer kar
Tum utar ate ho...
Tej ki hawa k jhonke me lotpat mere ghash ki kiyariayan...
Milon tak su su... Aur toofan ki lahar...
Mai jaag jati hun gari nind se
Ab mai phul rahi hun
Uth rahi hun
Chhid rahi hun ek juar bhatta ki 
samudri chess pali ki tarha...

Bahut sare khidki ki kholne ki awaj
Aur Tere pash hone ka ahsash
Mithe Sathiya, mahu-barshi-ankhon wale!
Ghumte hein bahte hein chhati par mere
Coma me chala jata hai astitwa
Aur drip se Tu khoon me samil hota hai
Dhire dhire...
Kahne ko mai soi rahti hun
Par bhitar Tu daudta hai...
Halke se Tere pash ake khada hona
Wo bhari kadam ko dhire se rakhna 
Jab sunai padta hai
Pichhle bahut pichhle kuchh dhundle drishya dikhta hai kuchh kohre ki alishan mahal ki parda hata ke...

Ek Toofan ata hai
Gujarta hai mere upar
Aur tahas nahas me Tere kadmo ki nishan 
Aur muskurate motion ko samette hue 
Pata chalta hai
Tu kitna apna hai

Achanak haste hue mudna Tera
Ek mahak uthta hai rooh me se mere
Badlon ki ferry me 
Tere itne sare muhn yatri hain
Aur akeli mai-Tere mele me...
Tu mujhe dekhta hai khinchte najar se
Aur khinch leta hai jameen paon tale....
Ye mai ud chali Tere mahua ujle me....

Up comes the Sun


Up comes the Sun
And every flower smile in my hanging garden
Opening their petals and stretching to the limits
They smile aglow,
straining tender golden rays in their coloured beings
Swaying in the lap of sweet breeze...

Outside the fresh air touches trees, boughs, leaves jovially
Playing like a baby elephant among dense foliage
And in their closed entities the buds pray with folded hands
With gratitude and fulfillment for the up-springing fountain of life
To the Unseen Creator!

And I collected all these to gift you
And place in Your sashank-sphatik lotus feet!

Thursday, 23 April 2015

sameti...fir bikhri


Hi,
Thoda sa sameti thi khudko subah
Aur hote hote hath aya
Kayi saal purana
Wo Nalanda school ki
Syllabus for entrance examination...
Ek minute ushe hath me liya
Ghadi ki sui panch saal pichhe daud gai
Aur Ap dahine taraf beithe ho
Khade ho...has rahe ho...
Wo sab kuchh aur bahut kuchh ki
Ek gali khul gai...
Aur dhakel di gai mai andar teji se
Ek tej bahti bahti jaldhara me bahte bahte
Kam light me diwar par Tuumhare ahsash
Ko itne kareeb pakar fir bikhar gai...
Jeise ab yehin ho
Aur ab nahi...

Up comes the Sun

Up comes the Sun
And every flower smile in my hanging garden
Opening their petals and stretching to the limits
They smile aglow, straining tender golden rays in their coloured beings
Swaying in the lap of sweet breeze...
Outside the fresh air touches trees, boughs, leaves jovially
Playing like a baby elephant among dense foliage.
And in their closed entities the buds pray with folded hands
With gratitude and fulfilment for the up-springing fountain of life
To the Unseen Creator!
And I collected all these to gift you
And place in Your sashank-sphatik lotus feet!

Barati

Leti hun-
Aur Tum bahe ja rahe ho...
Bina tel ki balon me se
Ek khusboo jagi hai.
Aur dhire dhire seer ka dukhna
Jeise mridang ho Tere.

Andhere kamre me leti hun
Aur samne ki ghar se 
Light ai giri jharokha ko kud ke
Dahine taraf ki diwar par mere
Jharokhe ki char railing ki chhaya
Aur ek all out ki batti ki laal ankh
Fir Tum bahne lage...

Ankho me mere roshani kam
Liye leti hun andhere kamre me 
Aur Tumhe sandesha bhejne ke baad
Hriyme ek samandar bhar aya hai
Tum bahne lage-
Aur samandar gho gho...
machalne lagi hai...ab kuchh shor hai.
Jab Tu pash eise -duniya ajnabi hai!

Leti hun aur Tum bahne lage
Aur Tumhare taxi chal padi hai
Airport se-aur hathon me phone par mai hun
Bahut utsuk swar me bahut kuchh kahi ja rahi hun
Aur,...Tumhare muhn bhari
Heya bhav se baat kar rahe ho mujhse
Maap chup short cut thanda gale me
Aur Tumhare us muhn ko leke taxi chal padi hai
Hyderabad k sadkon pe
Har chauraha chura le rahe hein
Tere hasin saql se bhari motiyan kuchh...

Mai leti hun...
Phone par mystic songs me Karunesh 
Chal pada hai...
Karuna palki pe -
Utha lene wale kabhi 
visharn Vanshi ki akul murchhanaen hein
Kabhi jala-tarang ki abhimani ragini hai
Aur palki ki jharokhe se Tum dikhne lage
Kuchh tarein chhup gaye badal ke pichhe-
Jeise mere dusre baar ki friend-request 
Kahin chhup gaya...kuchh din latakne ke baad
Unatteneded...chuup gaya hamesha ke lie
Tumahre deleted FB profile ke sath...
Chhup gaye tarein...
Aur fir Tum bahne lage mere khule ankhon se..

Wo muhn...wo bhari muhn...wo aswasti Tumhare 
Wo heya-tuchha gyan...wo dhutkaarna Tumhara
Wo birakt bhav - chal pade sine me ...
Sath sath chal pade saji hui dil ki khwahisein mere
Dulhan ban ke, ghunghat bhale hi bhig jae ashuon se
Chal pade fir v neha ki chunari ode Tere pichhe pichhe
Tere chhod jane ke baad-gumnaam kisi gali me
Dhul banke bikhar jane ke lie..

Mai leti hun
Aur Tum bahne lage
Sath sath ye barati v
Ab bahut shor hai
Ke khamoshi ki darwaje pe aj shor aya hai...


~Baarati

Tuesday, 21 April 2015

Hyderabad ki Sadkein

Hyderabad ki sadkein...
Ab kadam dalne par
Tere nahi lagte
Na mere lagte
Na jane ye kiske lagte hein...
Hyderabad ki sadkein...
Jeise koi saaf kar gaya
Na Tere kadam rahe
Na mere kadam rahe
Na jane kiske kadmo ki nisani
Ye sine me sajaye sajti hai
Hyderabad ki sadkein...
Kahin kahin fir v
Tere adha tirchha hasi
Akhad bakhad kadam
Kuchh ans muhn ki
Kuchh chuppi,kuchh kathaa
Samet ke rakhe hain
Hyderabad ki sadkein...
Chalte bhagte kahin ruk jate hein...
Jahan Tum asamanjas me kisi counter ke samne khade ho, dekhte hein
Tumhare pairon tale jitni gungunati andhera hai
Unko leke Chand ki kale kothri tak jate hein
Wahan jama kar ajate hein
Fir se wohin laut Jane k lie
Hyderabad ki sadkein...
Kisi ek dukan ke samne thaharte hein
Jahan Suraj se Tumne hath milai thi
Kuchh roshani lakar mere hath me rakhi thi
Kuchh muskurahat ab v palapte hein wahan...
Wohin kuchh der sans lete hein
Ye Hyderabad ki sadkein...
Fir chal pade jo ye Hyderabad ki sadkein...
Ghumte ghamte rook jate heim-wahan-
Kisi Resturant ki samne ki dhul me
Ab v jahan Tere ulte pairon ki nishani
Mere sidhe pairon ki nishani se
Ghanton batein karte hain
Jab ye Hyderabad so jati hai
Aur daudte daudte iski sadkein
Tham jate hein...
Tab ye Tere mere batein karte hein..

Saturday, 18 April 2015

Scent of the soil

Scent of the soil
Fragrance of the half-ripened mangoes
Bare small feet touching earth
The sweet moisture honey upon mango leaves
And licking the honey with a tiny tongue
Is what childhood bliss was!

And now a dream of a solitary farm house
Near a river bank nestled among the mango grooves
Haunts the vision..
Where the dusty road wounds like a ribbon
And hums a song with the chorus of jungle birds…
That comes flying from the stiff mountain
To meet me in the backyard…

Again bare foot touching the earth with live tendrils
I will root in and become a tree there..
Flowering…blooming…holding fruit,
Sheltering them-these varied wild life-especially birds…
Will embrace the slow Breeze
That makes my eyes half closed
With the wild scent of herbs and stones
And count on the lazy, thought-less and blissful moments of the earth!
When You become the soil of the farm-house
And dance with the wind…
Like a unbounded spirit…



 * * *


A lotus pond near by…
And a small temple in the middle of it…
The tinkling bells from it’s sacred yard
will break my afternoon siesta
And the occasional trumpets of the elephant in the night…
Will make me leave the bed and run to them
In a pre-arranged rendezvous…
To learn the silent and sacred pulses of the world
That runs through vibes…








Thursday, 9 April 2015

Sandhaan

kya khojta hai koi
agar jindegi ek talas hai
bahuton ne kaha- khud ko pana hi jeevan hai!
bas, itna....
nahi manjoor mujhe!
agar khud ko hi pana tha
idhar ai kyun-
viswantar ki kisi dhulkan me 
ek sukshm jeevan natika banke jhul rahi hoti
ya bichhurit alok punj me ek bikiran hoti!
aur us atmik star me khudko pa jati
atma-bibhuti se naha leti..
yahan kyun ai?

kya khudko pane me hi sandhan ki ant hai!
ya khudko khojte khojte kho dena
badle me kisi dusre ko pana
jo mere jeise lage
mere hi ham-sakl ho
mere batein usme 
aur uski batein mujhme ghar banate ho...
kya ye aur adhik baat na hogi...
jo khudko khojte kisi aur me mai paun!
aur uski pratibimb banu
uske sath a
ek atm-samuha banaun...badhun...feilun...
usme mai
mujhme wo..
talash puri hai mere liye!

 



Tu hi to hai!

Kya hai ye duniya
Tere mere chhoti chhoti kahaniyon ka parcha hi to hai
Kya hun mai
Tere man me rangi hui ek chhabi hi to hun
Kya hua Akash jo Dharti se dur hai
Yahan ki gahre jheel me har kshyan pratibimbit to hai
Kya hai jeevan
Tu hi to hai
Kya hun mai
Tu hi to hai!

Sunday, 5 April 2015

Mahanadi: Ek Adhuri Talash Tum Tak!




Jab v wo khoj yaad ati hai
Bus me chalte chalte...
Ki
Itni badi duniya hai
Aur koi nahi bhaataa hai  jo mujhe...
Kahan hai Woh!"
Wo nadi kinaraa yaad ati hai
Aur Mahanadi ko dekh leti hun...
Kyun ki sare soch mere ushike kinare to chhoda hai meine...
Ushe dekh leti hun...
Jab v yaad ata hai Apke Cuttack wali baat
Tab Mahanadi dekh leti hun
Us bridge pe najar daudati hun
Jahan par roj Apki rath chalti hai...
Jab Bahut yaad ate ho
Mahanadi ko dekh leti hun
Ma hai Mahanadi aur Ganga Mausi jeise
Islie Mahanadi ko dekh leti hun...
Jiski pani pia...
Jahan beith kar...pratah bhraman me nikalke
Bhavishya sajaya karti thi...
Wo jo ayega jiski kadam ki ahat sunke v sun nahi pati thi...wo mere Talash Tum tak...
Wo sab...jiski Pavan Tere gandh mere tak laate the
Unko abhar prakat karna rahta hai
Islie Mahanadi ko dekh leti hun...
Ma hai Mahanadi aur Ganga Mausi jeise
Islie Mahanadi ko dekh leti hun...
Jiski pani pia...
Jahan beith kar...pratah bhraman me nikalke
Bhavishya sajaya karti thi...
Wo jo ayega jiski kadam ki ahat sunke v sun nahi pati thi...wo mere Talash Tum tak...
Wo sab...jiski Pavan Tere gandh mere tak laate the
Unko abhar prakat karna rahta hai
Islie Mahanadi ko dekh leti hun...

The Brahmin and The Dream



In my dream a Brahmin walks by...
Elevates from a chariot sometimes -drawn by Lions...
And talks to me...
of the world
Of heaven...
Of a place where we two are together!
He stands in silence sometimes...
Sometimes he is so gloomy -he can not talk...sometimes
angry...arguing with me...
But always gifts me with 'dev-prasadam'-chnadan, sindoor, fruits and flowers...
yes, He always comes in my dreams...
Sometimes demanding tantrik rituals too...
I and my Brahmin meet in a dreamland always...which is
More real than the Real world!
Yes , I am still living...waiting for Him...
For wait is what that made me come in contact with Him after I spent half of my life...
And may be many more lives...
I am living like a hibernating princess that sleeps and sleeps and never gets up until my Brahmin makes me inhale the Magical Red Rose...
Then I will be awake fully...
Till then I m living ...yes...
*
my Brahmin and the recurrent dream sequence where I meet Him is so live...
But many days has gone by since he came in my dream...may be he is busy!!