Sunday, 27 March 2016

Khelá

Kadmo ke niche wohi sunsaan raat ka rasta
Saanp sa tedha medha soya tha
Adhe andhere adhe ujale me duba..
Kahin se madhu-malati khile hein..
Uski khusboo se bojhil hawa
Mere kandhe pe ake beith gaya,
Aur bhari laga, bhari man ke bojh k sath,
Fir chunari se jhula jhulne laga,
Kabhi pavan, kabhi man.

Ek ek kadam...
Ek ek inch Fagu se Rangaa
Pila, narangi, gulabi, aur nila...
Kahin rangeen pani se ranga bhumi, mitti,
Pichu rasta, kachha rasta,
Int, pathar ka dhancha...
Par koi nahi,
Par koi nahi, khelne wala..
Na whistle, na penkali, na dholak, na pichkari,
Na koi hath rangon se Rangaa
Koi nahi tha,
Kela khatm ho gaya tha.

Eise hi kadam chum gaye kuchh rang
Bikhre pade raste par,
Aur ek bojhil man ka berang kuchh asha...
Holi me koi na aya!
Na Apna, na Patangá, na Bihangá
Khelá koi upar beithe, eise khel gaya.

Khelå
8pm
24.3.2016

No comments:

Post a Comment