Sunday, 27 March 2016

Aur Ek Patangá

Jab v post box me dalti hun chithi,
Lagta hai,
Chand ko bhej rahi hun jeise
Ya kahin dur,
Wo hath jo ishe chhuenge,
Aur dur aur dur, kahin ...
mere soch samajh se bahut dur hein...
Aur ankh chhalak ate hein..
+
Ek awaj gunjta h,
-"Hame eise hi Khali achha lagta hai,"
Aur us awaj ko kavach jeise bandh ke
Chhod deti hun chithi,
Chhota sa ek sabd ata hai,
Post box se andar se, -thap!
Aur dil ka ek hissa wohin chhod ati hun,
Jayega, pankh nikle ga,
Udega asman me,
Pahunchega wahan jahan mai nahi ja sakti
Is dua k sath, biday deti hun ushe,
Ek hissa mere man ka,
Asmani rang se saja ke jise meine uda diya
Aur ek patangá

+

Man kiya
Kuchh likh ke dun,
Aur tab jab us muhurt ka manyata ho Tumko!
Islie likhne beithi.
Aur ichha na hua
Eise itni kimti chese
kisi aur ke hathon post karwane ko.
Laga, mai, dakiya aur Tumhare hath ke alawa
Koi aur hath lage to asuddh ho jaega
Islie khud gai dusre din.
12 baje se pahle dal diya tha...
Aur ek Holi,
Aur ek Rang,
Aur ek Patangá...

11.11am
25.03.2016

No comments:

Post a Comment