Tumhare bhavon ki
syahi bhare kalam uthati hun...
aur vasant haajir ho
jata hai
apne phulon ki sena
lie
Sugandh ki avahani
mantra se...
aur fir kabhi patjhad
ajata hai
girte hue patte ki
nirab sangeet hawa sunata hai
gire hue patton ki
dher me aag lag jati hai
kabhi ujala karta hai
kabhi jala deta hai
Tumhare bhabon ki shyahi bhare kalam uthati hun
barsha a pahunchti hai
meghon ki doli me
kabhi badh ati hai-jab
woh roti hai,
aur kabhi ankur banta
hai mati ke kokh me,
kabhi mukta –samuka ki
garbh me
Kalam uthaun Tum ajate
ho
Sath koi na koi rahta
hai…
Aketo li beithi hun…
Par bheed itna hai
Kalam uthaun Tum ajate
ho
Na uthaun to nili syahi se hath rang jata hai
Tere,
O Nile!
No comments:
Post a Comment