Saturday, 20 June 2015

Barsha me Tum utar ae...


Raat bhar barshi Barsha
Ab tak hai
Bhige hue sadkein
Aur Dhaka hue asman
Nahae hue ped paudhe patte
Thir thir bahta Pavan
Aur abirat girti barsha-bund
Kuchh kahti hain mujhe...
Tumhare saakar roop se hone ka baat kah jati hain mujhe

In baton ko chhati ke bhitar se bhitar andaruni mahal me pahuncha kar ata hai ye thanda parivesh.
Aur wahan mai pati hun apneap ko
Bhigi hui pith
Mathe pe gila odni dale
Tumse batein karte hue-
Dher sare...


Aur wahan bhi
kalpana me Tumhe ankan karte hue
Dikh jata hai -ek jhapsa jhapsa chhabi Tumhari...
Bahat apna sa
Hath pahunch me ek pal
Duje pal kahin gum hote hue
Manjire re!

No comments:

Post a Comment