Tumne to mujhe chhodna chaha hai
Baar baar chaha hai
Par chhutti nahi
Kya karein
Sath ki baat hai...
Khun khinchta hai
Kahte hein
Koi nahi kahta -
Sath khinchta hai...
Eisa khinchta hai...
Sine se sansen khinch leta hai...
Hosh se sud bud khinch leta hai
Pagalpan dera dalta hai
Tadap aur karahti ahein pahri hain yahan
Pash na ho...
To Sath khinchta hai...
Insaan purje purje me khincha jata hai
Katra katra jaan bah jata hai
Eise kichta hai sath...
Krishn jo chhod gaya
Keise rahi Yasoda Ma kaun jane
Kisine ushe puchha nahi...
Ankhein jo Kanhu ko dekhe nahi
Andhe ho gaye the kya?
Kishine jana nahi
Kahin likha nahi
Jo jubaan Kanha Kanha karti thi
Wo jab Kanha na bol saki
Pathrai gai kya
Koi puraan kuchh bola nahi...
Kya Ma Yashoda jinda rahi...
Radha jiski astitwa hi Krishn Aradhana
Wo kari kya hogi
jab Krishn ko samne na dekhi hogi
Udhar Woh Dwarika ki Raja
Idhar Radha jo Rani thi
Bas ek Ragini ban gayi...
Akul, bekal dhun hai Radha
Ab Krishn ki Murali bajti nahi...
Radha bajti hai ekaki Vrindaban me...
Sath ki baat hai...
Khinchti hai
Aur khinch kar jaan le leti hai
Bas pind pada rahta hai...
No comments:
Post a Comment