Subah se sine me saansen kaid hain..
Wo chala ja raha hai
Sanesn na bahar ja rahe hein
Na aa rahe hein,
Wo chala ja raha hai...
Wo chala ja raha hai,
Uski shirt sleeve ke ek tukda bas
Dekha maine
Aur wo darwaje se bahar ja raha hai...
Wo chala ja raha hai
Mai daudte hue jaa rahi hun uski tarf
Aur sine me sansen kaid hain...
Mere sareer me bhari nili saree
Chalne ya daudne nahi de rahi hai...
Wo chala ja raha hai...
Darwaje ke pash koi khada hai
Ek admi -sayad soup ya sarvat serve karta hai
Byakul ishara se kaha ushe Unhe rokne ke lie...
Bhai ki shadi hai....
Wo akar chala ja raha hai...
Khojte hue ankhein hein uske...
Aur ankho me sunyata
Khoya khoya najar
Muhn me ajeeb pagalpan
Aur kadam tej ...tej...
Wo chala ja raha hai...
Mai darwaje ke pash pahunchti jab
Laga ek jamana bit gaya hai
Bas do pal do yug ki tadap de gaya hai
Sine me ab v sansen kaid hain...
Aur Woh chala ja raha hai..
Fir kuchh jadu sa hota hai...
Mere samne Woh ata hai...
Dusre duniya me rahta hai jeise
Wese muhn lie Woh samne khada hai...
Sansen ab ajaad hai sine me
Jharna ban gaye hein...
Mare hue kitne basti dil ki ji uthe hein
Ushe dekh kar samne...
Mai has kar hath jodti hun
Namaste-kah nahi pati...
Ankhein aur jubaan kuchh aur hi
Jo kahna chahte hein...
-kahan tha Tu..?
Mujhse alag??
Raha gaya Tujhse...??
Kuchh na kaha gaya...
Bas ushe me dekhti gayi
Uski sath ki sangeet sunne lagi...
Ho ho hone laga hai kano me
Sangya kho gai hai...
Mare hue mere pind me
Jaan banke jo Wo aya hai...
Fir v mai ashad sa hun...
Uski ankho ko apalak dekhe ja rahi hun
Aur Woh ankhein chura raha hai
Woh khappa sa hai mujhse
Hamesha se woh eise hi hai
Keise kahun ushe
Jabse Tere pairon ko chhuan hai
Tabse kisiko na chhuan
Na ankh utha kar dekha hai...
Tu jeevan hai
Tere sath kaiese chhod dun mai...
No comments:
Post a Comment