Samne ki table par rakhi hui tray par se
Ek awaj ai-aur mere dhyan bhagn kar gaya
Bismit hoke dekhti hun
Teen ungli cup ko eise pakde hein
Jeise brunt ek phul ko dhare rakhta hai
Wese kamaniya bhangima se
Aur mudke dekhti hun
Woh mere pichhe khade hein..
Itne pash...
Mere pith ko unki Safed Kurta
Udti hui hawa de rahi hai...
Kab aye Woh...
Itni dhimi kadam se...
Aur ye kya kahe jaa rahe hein
Bin kahe-mere pash aye...
Ankh mundi thi...
Itna jhalak gaya
Kayi saal purana wo ghatana
Mere sath fir ghat raha tha...
Aur Woh fir se
Pichhe se ake tray par
dhire se cup rak rahe the...
Mere pichhe...
Han...ek dam pash Woh khada hai...
Mera Dulara hai...
Kaleje ka Tukda hai...
Aur...
Dhyan bhang hua..
Is baar Woh nahi
Samne sunyata khada tha...
Sunya ki ghera hai...
Aur sansen jam gaye sine me...
Barfili vadiyan is deh ki...
Us par garam taja sansen
Kitne der chalte...
Jam gaye ...baraf sa...
Seer me eise dard hai...
Jeise brain koi operate kar raha ho...
Mujhe bina sedative diye hue...
Ankh kholti hun
Aur,
Wo mere pichhe nahi hai
Cup nahi rakh raha hai tray par
Dhire se ake...
Yehin to tha!
Jane kahan gaya hai...
Aur sansen pinjre pe bhari hai...
Sishak uthe hein...
Ankho se nikalne ki koshish hai
Sanse ashu ban jae
Karah ban jae...
Eise rasayan keisa hai
Ab kamp uthi mere deh ...
Thar thar tadap ki akul juar me
Bah jae jaan katra katra...
Phul rahi hai...aur chhid rahi hai..
Jeeban maut ke jhule me...
Dhire dhire jhul raha hai...
Nahi sayad koi train hai
Jad ki nagri ja rahi hai...
Ek compartment ki jharokhe wali seat meri hai
Jharokhe se jeeban se bhari
Uski sath ki kuchh baat dikhti hai...
Bas itna hai...
No comments:
Post a Comment