Jo wo samne hai
Ushe gale lagane ki chah hai kya?
Kahin mahsush to hua nahi?
Par kyun nahi?
Ushe samne dekh
Kuchh karne ko chah kyun nahi...
Koi tadap kyun nahi...
Keise ho koi chah...
Apna banane ko koi ash nahi
Dher sara batiyane ko man nahi..
Ushe keise chahun,
Kis tarha se pujun
Ye kahne ko pind me pukar nahi...
Uski seva ki v bhab nahi...
Pujaarchan ho keise
Samne Dev ubha hain...
Ab aur kuchh nahi...
Sab Woh le gaya...
Man nahi...pran nahi...chetan nahi....
Jab mai hi nahi
Mere chah aye kahan se...
Jab Woh samne hei
Bas wohi hai
Mai kahin nahi...
Koi chah nahi...
Bas uski saloni murat hai
Aur sare satta mere
Wohin bilupt hain...
Uske samne chetan-heen hun mai!
Uski dono ankhon ki dwar se
Atman tak bhitar gai
Kuchh mere sa laga Woh
Aur wohin rah gayi hun mai...
Wapas ayi kahan
Jabse ushe dekha
Khud ko pai kahan
Jo ushe gale lagane ki chah rakh sakun...
Koi khudko bahon me bhare keise
Keise sahlae pyar se...
Keise jakad ke dhare
Kahe Tu jaan hai!
Kim-kartvya-bimudh sa khada rahe
Jab jaan me jaan samaye
Aur sanson ki sagai ho...
Kahe keise-kaunse man se
Aja ...Tujhe gale lagani hai...
Ardh-murchhit sa
sune keval hriday badya ghatatop..