Aj bhi woh ghar -
wese hi adha chhaon adha Alok se
dhaka hua ek anchhuan mandir ki tarha seeatal shanti bikiran kar raha hoga...
Ab v wo adha swarg adha martya ka
ek hissa jeisa apne mahaniyata me
prabhav shali lag raha hoga...
jahan mai ek suitcase-
suitcase ke andar mere hriday-madhu sajaye, mithai ki tokri hath me lie gai thi kavi...
Aj v wohin par eise hi unka chappal-
dhoya, sajaya hua rakha hoga...
Jeise koi kabhi pahna nahi ho-
saalo bit gaya ho-
us jute ko unki pair sparsh ka...
Woh megh-mahal sa ghar...
Aj v wo ghar wese hi khada hoga...
thanda, shant, sheetal,
adha chaaya, adha alok me dhaka hua-
kisi devta ki akanksha me...
aj v uski jharokhe me tamaal lata
lipati hogi...aur aj v kisi taila-chitra se
Nikla hua ek sketch ki tarha...
Kisi ki sanson ki gahri ahat ki tarha-
Wo ghar ka mahol saja hoga...
Aj v ....
~Devaabaas
(Dev Abaas)
wese hi adha chhaon adha Alok se
dhaka hua ek anchhuan mandir ki tarha seeatal shanti bikiran kar raha hoga...
Ab v wo adha swarg adha martya ka
ek hissa jeisa apne mahaniyata me
prabhav shali lag raha hoga...
jahan mai ek suitcase-
suitcase ke andar mere hriday-madhu sajaye, mithai ki tokri hath me lie gai thi kavi...
Aj v wohin par eise hi unka chappal-
dhoya, sajaya hua rakha hoga...
Jeise koi kabhi pahna nahi ho-
saalo bit gaya ho-
us jute ko unki pair sparsh ka...
Woh megh-mahal sa ghar...
Aj v wo ghar wese hi khada hoga...
thanda, shant, sheetal,
adha chaaya, adha alok me dhaka hua-
kisi devta ki akanksha me...
aj v uski jharokhe me tamaal lata
lipati hogi...aur aj v kisi taila-chitra se
Nikla hua ek sketch ki tarha...
Kisi ki sanson ki gahri ahat ki tarha-
Wo ghar ka mahol saja hoga...
Aj v ....
~Devaabaas
(Dev Abaas)
No comments:
Post a Comment