Monday, 23 December 2013

Tum

Raat nahi ho,
Saheli ho jeise,
Mere dare hue kadmo ko
tum tak le jane ke lie ai hai!

Tum jo sans roke
Mere ane ki ahat par ankh jamaye beithe ho,
Ghabrahat ki bimari lagi hui hai dil ko!

Eise me jo mujhe tum tak chalk e jana pade,
Mai apne kadmo se darun,
Tumhare ruke hue sanson se darun…
Mai darun tumse,
Jab ki tumhare pash hi mujhe jana hai!
Ye baichitrya keisi,
Samajh na aya ab tak,
Na taqat rah gai hai
In bawri si tan man me…
Jo tere laagi ho gai Sakha…

Tere ankhon ko chhuke jo ahsash ate hein
Mujhe hath kadi, god-kadi pahnae
Tere samne ghasitte hue haajir karte hein, Rajaji
Mai saram se muhn dhakna chahun,
Par hath bhi bandhe hue rahte hein…
Tu bas baitha hai,
Ankhon ki Deepak jalae,
Dur kahi dur… bahut dur
Un Deepak ki lau mujhe jalate,
Rooh tak ujala bharte,
Mere charon taraf ek chadar ki tarha ghere rahte hein Kumar,
Aur mai nit nit prati din tum tak eise chalke jati hun,
Apna dil ankhon me lie chalti hun,
Khash tumhe bhentne ke lie…
Par tumhare pratikshya ke darvar ki chaukhat pe ake
Mai chup hoke khadi ho jati hun,
Na tum tak jane ki hausla hai,
Na pichhe jane ki taqat…
Bas wohi khadi rahti hun…
Tu samne Chand ki tarha jalta rahta hai,
Aur mai niharti rahti hun…


No comments:

Post a Comment