Wednesday, 8 March 2017

Chehre ka jod

8th March
10.32am

Wo chehra...
Keisa hai...
Keise dikhta h bolke puchhna meghon se...
Diwar pe jahan drusti nibaddh ho aur kahin ha sake na...
Jate jate gum ho jae
Aur bhitar se hi ek rasta nikle...
Us rasta se chalte chalte
Wahan ki hawa ko puchhna-
Keisa dikhta hai woh...
Khali kya do hilte hue kale putle
Moti jeise... bas itna hi hai woh....?

Bhulsa chala tha man
Aur uski ajeeb kothriyan-unke darpan me khalivdo ankhein -hilte hue rah gaya tha -absesh jeisa...

Ab itne dino baad
Jo dekha
Sach much ek insaan
Jisme wo chehra chipka hua tha
Tab khayal aya
Han,
Mere pash eise hi
Ek tasveer to tha!

Tasalli h,
Bhitar se bahar jud gaya...
Man k kothariyon k darpan
Aur koi abhijog nahi karenge ab
Ab bahut dino tak koi uljhan
Nahi satayega ki
Keisa hai woh chehra!

No comments:

Post a Comment