Friday, 10 June 2016

*Gholu*

Tu ayega bolke
Tere Ma kitne dur se
Dhundte hue Tujhe ai..
Rasta bada katheen tha,
Kai parvat k choti ko langhte hue
Kai maru lqnghte hue
Asumar nadiyan aur anginat samandar laangh k ai
Tu ayega bolke Tere Ma kitne dur se ai..

Tujhe dhundte hue ai
Kabhi Airqbat ne kaha haske
Tu yehin kahin hai...
Kabhi Akashbati ne kaha
Tu utra hai yehin pe..
Kabhi udte hue ballon ke upar
Debadut bachhe kah gaye,
Tu ane wala hai,
Kabhi Tu khud aya chhadm-bhesh me
Tere Pita k tarha,
Aur mai pahchan na saki...

Kabhi Tune kaha,
Mai ek hun, Ma
Fir Tu kahta gaya,
Nahi mai do hun, dekh achhe se, Ma!
Pahchan, mujhe...
Aur samale anchal me..
Mai hath failai, Tu aya,
Par ankh kholi Tu na tha..
Tu kahan fir gaya ab..
Ma ko apne satana v Sikh liya Tune...
Tu dekh,
Aj fir se Tere ane k tayari h!

Tu jab ayega, mujhe badi kasht to hogi
Par Khushi ka koi maapak na hoga..
Aj uska rehearsal hai,
Fir Tere ane k tayari me
Ma Tere ghar ko sajane lagi...
Tu kahan...

No comments:

Post a Comment