Samarpan ek Sangeet
Jiski bol, taal lay wohi tay kare,
Kanth hamara, gate hein ham khali ...
Tumhare taraf, lakh dhutkar khaya hua
ye man k jhukaw, ajnabi ajnabi hai mere lie,
Ye Milan k geet gata man,
Ye dur jane k soch se ghabrata, katrata pran,
Ajnabi ajnabi hai mere lie,
fir se ek naye sire se khud ko haarne,
saunpne k chah rakhne wale kadam mere,
Ajnabi, ajnabi mere lie...
mai khud mujhme ajnabi...
Itna apnaya Tumko khudko bhul gai...
Tumse milne k khayal:Samne Tum ajnabi,
bhitar mai khud ke lie ajnabi,
Man mera, mera nahi-ajnabi,
pran mere Tere bol mane, mere lie aparichit,
kadam mere Tere aur khinche mujhe, ajnabi ajnabi...
In ajnabion k basti me mai kahan....
Tum, Tumhare bol, aur ikhtiyar Tumhare!
Mai sunu, khinchi hui jayun,
ajnabi ajnabi, apna apna....ye geet gungunae hawa,
Aur mai chalun...
Ajnabion k bheed me aur ek ajnabi!!
*("(*(*("("()))))))))
No comments:
Post a Comment