Pani me barish ho to
Sab kahte hein,
Kya jaroorat hai
Par jab bund bund girta hai upar se,
Aur ek jal-parda lahrata hai
To samudra me romanch hota hai
Nad ko ullas chhata hai...
Jal-raasi abhibhut hota hai
Koti koti barsha-bund ke agamani se
Sochta hai-
Han, mere aur v hain
Aur nachte phulte gho gho karte
Libas badalta hai,
Nila, sabja se laalchia dikhte hue,
Kudte apna kinara todke kahan kahan pheilne lagta hai...
Upar -asman par pahad ke muhn ke pash
Badal dhuan dhuan
Jeise nadi ki ut-phullit deh ko dekh
Laaj se mukh dhak lena chahta ho...
Par badal badal hain,
Dhuan dhuan... Bhina bhina...
Kuchh der baad chhat jate hein......
Chalte jate hein-na jane kahan,
Jahan le jae unhe hawa...
No comments:
Post a Comment