Socha hai,
Kanha, Kale-Jamuni-Ankh-Wala,
tumhe likhungi nahi,
Tumhare gali maar khaungi nahi
Binbaat ka...
Kyun tumhare pariharion ko ashanti dena
Kyun dilko itna dukhana
Jab mere parchhai se v ghrina hai tumhe
Socha, tere Bhajan likhungi nahi...
Gaungi nahi aj...
Par aur kuchh ata nahi,
Band darwaje ke bhitar Ishwar Tu hai
Darwaja band hai to bahar baithlun..
Yehi socha...
Par bahar se v pujari jhadu se maar bhagaya...
Nath tu Jagat ka,
Kahin se v koi pukare,
Suna hai, Tu sun leta...
Yahan, mandir ki pichhwade,
Pade pade, apne jakhmo ko dahakte hue mahsush kar nahi pati,
Jab garbh-griha se arati ki ghanti sunai padti hai...
Sochun, pujari tere hisab se tere singar karta to hoga,
Bhojan manlakhi banta hai k nahi,
Muhn thik se pochh to dia hoga,
Pochhte waqt kapde se durgandh to nahi ai..
Tujhe pareshani to na hui...
Wo tere ittar ki sishi chura to nahi lia hoga...
Pahad tu leta hai to
bichhauna narm to hota hoga,
Kaun dayani gata hoga,
Kaun lorian gata hoga...
Koi tujhe jhula v deta hoga,
Kachre ke kundi ke pash,
Mandir ki tere,
Jo mahke tere sugandh se,
Pade pade sochun mai,
Tu thik to hoga,
Tere bhajan na gaun to Prabhu,
Tujhe kya kasht hoga,
Bahut hain gane wale, sunane wale,
Jo mai na likhun, na sunaun,
To mera gujara nahi hota,
Sona Painjani wala...
(4 photos)Kanha, Kale-Jamuni-Ankh-Wala,
tumhe likhungi nahi,
Tumhare gali maar khaungi nahi
Binbaat ka...
Kyun tumhare pariharion ko ashanti dena
Kyun dilko itna dukhana
Jab mere parchhai se v ghrina hai tumhe
Socha, tere Bhajan likhungi nahi...
Gaungi nahi aj...
Par aur kuchh ata nahi,
Band darwaje ke bhitar Ishwar Tu hai
Darwaja band hai to bahar baithlun..
Yehi socha...
Par bahar se v pujari jhadu se maar bhagaya...
Nath tu Jagat ka,
Kahin se v koi pukare,
Suna hai, Tu sun leta...
Yahan, mandir ki pichhwade,
Pade pade, apne jakhmo ko dahakte hue mahsush kar nahi pati,
Jab garbh-griha se arati ki ghanti sunai padti hai...
Sochun, pujari tere hisab se tere singar karta to hoga,
Bhojan manlakhi banta hai k nahi,
Muhn thik se pochh to dia hoga,
Pochhte waqt kapde se durgandh to nahi ai..
Tujhe pareshani to na hui...
Wo tere ittar ki sishi chura to nahi lia hoga...
Pahad tu leta hai to
bichhauna narm to hota hoga,
Kaun dayani gata hoga,
Kaun lorian gata hoga...
Koi tujhe jhula v deta hoga,
Kachre ke kundi ke pash,
Mandir ki tere,
Jo mahke tere sugandh se,
Pade pade sochun mai,
Tu thik to hoga,
Tere bhajan na gaun to Prabhu,
Tujhe kya kasht hoga,
Bahut hain gane wale, sunane wale,
Jo mai na likhun, na sunaun,
To mera gujara nahi hota,
Sona Painjani wala...
No comments:
Post a Comment