Wednesday, 31 January 2024

Kali aur Niley

Sam ek albeli si ladki
Daud jae dhul me mila
Suraj ki chakmaki kan samet ne ke lie harbari me
Aur Surya ki ghoda ki kaan me kuchh atpata sa kahe
Ghoda hinhinae, haste hue-
"Tu majedar hai"
Albeli chaunk jae
Behos gir pade.

Gir pade saam pheilke
Lambe Lambe sadkon ke upar,
Ghane, mote, purani pedon ki sakhaon pe,
Vadion me bahein pasare
Jungle me sarke uska sareer
Hissss hiss srrrrr srrrrr frrrr...
Aur ghume kundal sa.

Mandiron ki jhanjhanati jhanjhar, aur ghantion se, gharon ki arati ki dhun se, behos saam uthe firse chaunk ke
Aur fir chal pade harbari se
Ghunghat sajae mathe pe
Laal sa sindur mathe pe
Payal jhanke patron me
Saam ab Raat hai, badhu hai
Janani bhi hai.

Chand ko mathe pe khos k
Kisi khaan ki Miner ki tarha andheri jhadion me abhi abhi khilta hua safed phulon ko samet ne ke lie nikal pade
Unki khusboo ko buku me sajae
Chandni me nahae woh
Aur Akash Ganga se nisare amrut.

Bahut Kam Hai
Fir se harbari me laut ae
Bastion me ghuse
Sabka Chuhla jalana h
Sabko khana khilana h.
Bachhon ko sulana v to h
Jhuti kahani sunake
Chhati pe hath rakh k...

Akash itna Nila lage ab...
Jesse raat ghana hote jae
Wo hase halke se ...
Tandra mishrit bhaari palkon ko bina uthae hath badhae agae.
Han, akash nahi, kanth h, Ashutosh ki- 'sab so gae, wo puchhte'.
'Han, sab...
Kuchh gine chune ko chhod...
Bade ho gae weh
Mere kahani me jhuth pakad lie hein
Talasne beith gae hain, sachhai.'
Kali raat kahe.

Roj kahe
Nila Akash sune
Roj sune

Kali Andheri, Teen Ankh Wali
Aur Nili kanth wale
Ek dusre ke hath me hath lie
Ghume, nachein
Taraon par pair dumke
Anant Dhuan dhul ki bistruti saanp bane
Ath mahanaag
Aur jhulaen dono ko
Itna mile, itna ghule, kaun kya h,
Samajhna samjhana na ho sake.

Saurya Mandal kahe-
area ham Tum hain,
Saptarshi kahein, ap ham tak hain,
Maha- jagatik kgela kahe,
Mai to khel Tera...
Tujhme Mai, mujhme Tu
samjhun Kabhi, bhulun abhi,
Lo, ab bhul bhi gaya...

Raat bhar ye Chale
Jogi isko pakadne ke lie
Nas Nas khole apna.
Kuchh dhar le to dhar le ...
Baki phisal hi jana hai.
Pae 10 aur khiske 100
To bacha kitna aghori puchhe...
Subah tak log kahe
Ye to sansar hai.

No comments:

Post a Comment