Sunday, 15 October 2023

Wo Nadi

 23rd August 2014

in Saota Swara My Page


Wo nadi…wo chhota sa nao-ghar 

aur Tumhara dibya-sparsh…

Jungle  ke nibhrut ilaake me hote hue

Chal pade wo pani ki raste me…

Sath me chale tara-bhara asman

Aur ek adha chhipa chand…

Jeise Tumhare lomash chhati me mere ashrit seer..


Nao chale ki taren chale, 

Jungle chale ki ham chalein, kaun jane

Par Tumhare safed sherwani, 

mere heena se range kalai me 

run jhun bahat sare chudiyan, kahein -

Tumhare ankhon me muskan ki daur 

aur mujhme neha ki jhula chale

jane ye nao chale na chale…

pani ki bahav jaroor chale…


itni thandi hai… 

aur Tumhare chhati ki bistaria 

eise me mulayam, ushum lage,

eise me ankh lagne ko hai ki Tum jagao-

hey, dekho, parde ke pichhe se Chand ne jhanka hai,

Tumhe dekhne…

Aur mai Tumhare unglion ko naak me lagaun,

Khusbu kisi barfili gufa me jalte hue aag ki jeise hai,

Bhaye mujhe…bahat…

Mitha se has dena Tumhara 

aur pukarne par ‘hun’ karna apnapan se….


Bhor se jab ankh bhi na khuli ho,

Chand apne ghar jae na jae sochta ho,

Raat ko andehera phir bhi jakad  ke dhare ho,

Tab kisi sugandh ki amantran se uthke beithun mai,

Sirhane ek adhe khile kamal ka guchha…

Tumhare man ki mahak ko mere tak lata hai…

Aur fir se Tum chale ate ho mere pash,

Dhire se ankho se haste hue,

Parda hatake…

Mere hath ki heena se ajeeb khusbu ae…

Aur chand chhup jae Tumhare ankhon me!

Nadi, nao ka ghar…ye aaranya-snigdhata

Tumse mujh tak chalte ae…


No comments:

Post a Comment