Ek Vanik raah chalte hue ek Raahgir se takraya
Dono sath beithe,
Raat ka waqt tha,
Aur Vanik ne apna bhari hui jhola khola
Heere jawaharat se bhara tha,
Wo roya...
Raahgir ne puchha kyun ro rahe ho?
Itne dhan to hai Tumhare pash,
Aur khane ko v majedar jaike?
Vanik ne kaha,
Ye jawaharat bech nahi sakta, mere Patni k hain!
Uski yaadein, Sath lie chalta hun,
Darta hun, Koi lut na le,
Jayega to do- dhan aur yadein!
Raahgir tab apna jhola khola-
Kuchh dhuan nikle aur upar ud gaye,
Chandi k badal!- vanik ne puchha!
Raahgir bola, han, par ye barsenge nahi!
Kuchh nahi h inke andar, na yadein na dhan!
Tu sach me Maldar nikla,
Kyun na kuchh Kissa Tu Suna
Apne daulatgaar ka...
* *
Raat jam gai,
Aur Vanik bolta gaya...
Dhan daulat k khajana khulta dikhai pada,
Ek ek...
Aur bich me Raahgir chillata rahta,
Arae, lagta h, dekha kahin Isko,
Ye jebar, jani suni lagti h, Dost!
No comments:
Post a Comment