Man ki patali gufa me,
Ek Kabutar, safed, udta hai,
Uski pankh phad-phadahat se
Kahta hai,
Han, yahan v Koi rah sakta hai!
Man k patali gufa me Koi rahta hai!
Gufa me mandir bhi hai,
Kabhi Kabutar bayen tarf jae,
Wahan k roshandan me beithe;
Likhe-1.11
kabhi dayen taraf jaye,
Wahan k dhuan-bikherti hui jharokha me beithe
Ude,
Pankh phad phad kare,
Kahe, yahan v Koi rahta hai
Itne bhitar bhi patali Ganga bahti h...
Man ki patali nagari...
Halka ujla, halka andhera kahne beithi hai,
Sannata Payal hai,
Nirjanata kangan ,
Chhat ki chuda se roshani ki ek dhar barasti hai
Kabutar is roshan-dhar ko pie,
Patali Ganga me nahae..
Yahan k jhilmil kamron me kuchh khole,
Fir pa jaye to aram farmaye,
Na pakad me aye, na kahin aur jae,
Puchhne par-"Kaun hai!"
Kahe- "Mai hun"!
Yahan k thandak bhaati hai,
Yahan k sukun man-bhavan hai,
Is patali mandir se uthe hue
Prarthan ki anu-punj k geet, pasand hai.
Man ki Patali gufa me Koi rahta hai
Rishani k kalam se kuchh likhte hai,
Dhuan se agarbatti banata hai,
Kya mandir me Koi Devta hai,
Iska khoj padtal karta h..
Man k Paatali nagari me ek pakshi rahta h
Ise pata nahi,
Yehi yahan ka Devta h,
Wo apneap ko khojta hai...