Anjane me hua kasoor,
Kasoor nahi, Kanha,
Janke jo dil dukhaya
To kahna!
Din tamam aur raat bhar
Diya jale intejaar ka
Aur koi jage raat sa
Eise me Tum murli phunko
Aur behosh ho jae brijdham
Jhapki lag jae anjane me
Tab Tum ao
To kasoor nahi behoshi ka
Darwaje pe Tum dastakh do
Tab jab brindaban hai sammohan me soya
To kasoor Vrindaban ko na dena
Soe hue lata kunj
Jo kadam ko Tumhare sun na pae
Ise unka kasoor na manna!
Subah uthne Tumhare gandh ko pahchan ke
Darwaja khole koi
Par Tumko samne na pae
To kasoor raat ko na dena
Subah ko v na dena..
Hain to Yehi kahin
Payaliya jhandi jhanae
Kamal Banke
Aur 'yahan nahi ka dwar' Kanth jae
Khoje, Daude, pae Tumhe Yamuna kinare,
Akele, apne nao me bimarsh beitha hua
To kasoor payaliya ko na dena, Mohana!
Jo dekh ke v mujhe pash,
Thoda sa muhskurake fir bhari sa dil leke
Udasi k lahar par
Nao chalaye Tum chale jao
Ghat pe mujhe akela chhod ke
Kasoor ghat ko na dena
Jalte hue Deepak ko na dena,
Raat bhar jagte taron ko na dena...
Anjane me hue kasoor- kasoor nahi, Kanha,
Janke jo dil sukhae,
To kahna.
Jaan ke v jo dil dukha jae,
Pyar me wo kashurbar nahi kahlata.
13,12,15
No comments:
Post a Comment