Mera sahar soya pada hai
Ek awaj nahi
Ek uhn nahi ek ah nahi
Koi spandan nahi
Koi sphuling nahi
Mera sahar soya pada hai
Koi awaj nahi
Bhitar sannata hai...
Kitna kalarol, kitna haichai
Sab shant hai
Aj Rabibar hai
Aur mera sahar soya pada hai...
Kya hain ye raste dhamani jeise
Bichhe hue hein, yahan wahan
Ye khamosh hain,
Chalne wala jo soya pada hai
Sadkein Kis kaam ki..
Khali marg, katne ko daude..
Mere sahar ab utha nahi hai
Kitni bijan hai ye galiyan
Aur ye galiyare..
Koi unme daud nahi raha,
Koi kuchh kah nahi raha,
Koi Baja nahi koi murli nahi,
Khel dikhane wala soya hua hai,
Len den karne wala aj utha hi nahi h,
Bajar suna hai...
Koi ghanti nahi baj raha,
Mandir v nirjan hai,
Aj Pujari soya pada hai...
Aj Rabibar hai..
Aj sahar soya pada hai...
Raat bhar upasana me beitha, bithaya,
Raat bhar sankirtan chalta raha,
Mridang, damru, khol, kartal, manjira bajta raha,
Raat bhar hoti rahi puja
Devta ka hasna, ruthna, mang rakhna
Sab ek ek ata raha,
Kisam kisam k chese-gunjta raha,
Pujari deta raha, dilata raha..
Bahar ho ho jhum jhum chalta raha,
Mela chalta raha..
Mele me khel dikhane wala
Baja badal badal ke bajata raha,
Kabhi bansuri kabhi dafli bajaya,
Shor hota raha..
Itna shor...
Khel dikhane wala, baja,
pujari, mandir aur Devta -
Sab jeise ek ho gaye...
Raat bhar havan eise chala...
Par,
Aj ye sahar soya hua,
Khamosh, nirjan-
Koi chidiya v chehek nahi raha
Radha naach nahi rahi,
Kanha ki Vanshi sunai nahi de raha
Aj koi awaj nahi,
Sahar soya pada hai mera.
Khali Pind k kya kaam
Jab atma na base isme
Ye mrut Pind ban jata,
Atma laye alok, laye shor,
Laye rang, Laye dhwani,
Laye jeeban is ghat me,
Uske bina atak jayen sansen
Koi gati nahi, koi chal prachal nahi,
Ek atibhautik sannata daude yahan,
Aj Jeeban soya pada hai,
Sab shant hai..
Angan ka jhukta hua Chand v maun hai,
Aj sahar ka jaan soya pada hai..
Koi awaj nahi,
Ek dhul kan v ud nahi raha,
Jeise koi band ho,
Jeise koi pavandi ho yahan..
Dhu dhu katne ko daude,
Khali pavan hu hu kahe,
Aj Rabibar hai,
Aj sab kuchh khamosh hai...
Mera sahar soya pada hai.
*
Ab dekho, fir se awajein gunjne lagi
Spandan, sphuling aur ghantion me mandir ji utna,
Pujari uth gaya hai,
Puja suru hone ko hai,
Bahar mela beithne ko hai,
Dekho mera sahar
Dhire se nind se jaag raha hai..
Kitna shor hai...fir se..
Subha Prabhat
K mangal geet gayun,
Pujari,
Kadmo ko Tere anchal me pochh dun,
Aur paon lagun, chumu,
Muhn ke pashine hath se pochhun,
Sahla dun matha,
Gale lagun,
Jo Tum jaag gaye,
Jeeban jaag gaya hai..
Mera sahar ab jaag gaya hai,
Man magan nache Radha,
Kanhu k benu Yehi kahin
Kisi kunj me se a rahi hai,
Rai adheer..
Daudi jae,
Ab Brindavan jaag gaya hai..