woh kehta hai mar dunga
aur mai has has ke ake khadi ho jati hun
upar ko hasi rahti
hai
bhitar muhn sukha jata hai
hasi ki powder laga ke ati hun
aur kathgade pe khada karta hai
ye wo karta hai
hamesha se
dosh uska ho
mera ho
kisika bhi na ho
kathgade pew o mujhe khada karta hai
ye uska khel hai
fir kahta hai mar dunga
aur mai sochti hun
jarur majak kar raha hoga
aur mai bekal hoke intejaar karti hun
kiabke baar to wo mera masoom chehra dekh lega
mere ankhon me chhupa ashu dekh lega
taras khayega
keise nahi usko mujhpe daya na ayega
sathi hai who mera
par har baar ki tarha
uski talwar girta hai
aur mere garden katti hai
apne hi Sathi ke samne har baar hasne ka abhinay
aur dard nahi hai ka bahana
sina mot karke khade rahna
ajnabi banne ka dawa uska
dukh de jata hai
dard chhura chaku talwar banke girta hai
mere masoom sa kaleje pe
jahan who rahta hai…
har baar sochti hun
sayad wo is baar dekh lega ki
haste hue meine sina khol to diya hai
par mera muhn sukh gaya hai man ki taap se
No comments:
Post a Comment