Sunday, 31 May 2015

Mendak ki Barish

Baris hone se pahle mendak nikal ata hai mitti se
Kayi mahino ki nind ko jhad ke apne ankho se...
Aur Nila Gagan ko takta hai-
Megh ki ek tukda v nahi.
Par ushe pata hai-jaldi hi badlon se bhar jaegi akash ki chhati...
Idhar
Indra dev Airabat pe beithte hein, bajra ko hath me lete hein..bijli nachti hai...
Aur MeghaMallhar ke sath Barsha ki Mahotsav prarambh karte hain..
Santh sadhu maha-yagnya karte hue khushi se Haribol karte hein- itne yugon ke baad aya Barsha!
Itne bade swargiya avahani me koi nahi dekhta -mitti dhul se dhaka ek mendak v gaa utha hai ...
Is mahanand ki asar me
Apne dhul mitti ko dhul jate hue dekh, upar se jhar jhar jhar ata amrut-prabah ko dekh usne v hulhuli de rakhi hai.
Uski ye chhoti si puja ki bina Barsha na sambhab tha...
Mendak ki Barsha!









No comments:

Post a Comment