Sunday, 31 May 2015

Hide me...

Hey Pran-Ras-Kallol, Jagabandhu,
I whirl and whirl…my anklet tinkling,
Flowers dropping from my hair…
I dance before You forgetting the world, Priyatama…
I gather juhi and kumkum and shower upon You
And I dance as the mringam sounds so sweet
I chant Your name and I whirl more…
I dance…
I could not gather myself
And the world sees my dress undone, my face- kajal smeared,
Nilachali, hide me within the Lotus that shelters Your feet!














~Ek Sutra

Sayad parson Tera ane ka Ticket ban gaya
Islie na janke v kuchh -bina karan mai nachi
Mitti dhul jhad ke mai nachi..
Tere ane ka sandesha hawa ne dhire se phunka
Kano me mere ... Aur bihwal hoke me nachi
Tere rup-rang-thaat smaran karke mai nachi,
Resham Rassi thirka
Aur mai nachi...
Sare dukh santaap jhadke, achal apang hath pair ko jhad ke
Mai nachi
Apne pran ki sare rosni ko jalake mai nachi.
Bandha Ghungru re dholak jo kabka
Dim dim kahin baja -aur mai nachi...
Koi baat nahi tha
Fir v mai nachi...
Tu jo ane ko tha -mai nachi!
Ek dhage se bandhi-mai nachi...



Mendak ki Barish

Baris hone se pahle mendak nikal ata hai mitti se
Kayi mahino ki nind ko jhad ke apne ankho se...
Aur Nila Gagan ko takta hai-
Megh ki ek tukda v nahi.
Par ushe pata hai-jaldi hi badlon se bhar jaegi akash ki chhati...
Idhar
Indra dev Airabat pe beithte hein, bajra ko hath me lete hein..bijli nachti hai...
Aur MeghaMallhar ke sath Barsha ki Mahotsav prarambh karte hain..
Santh sadhu maha-yagnya karte hue khushi se Haribol karte hein- itne yugon ke baad aya Barsha!
Itne bade swargiya avahani me koi nahi dekhta -mitti dhul se dhaka ek mendak v gaa utha hai ...
Is mahanand ki asar me
Apne dhul mitti ko dhul jate hue dekh, upar se jhar jhar jhar ata amrut-prabah ko dekh usne v hulhuli de rakhi hai.
Uski ye chhoti si puja ki bina Barsha na sambhab tha...
Mendak ki Barsha!