Wednesday, 28 January 2015

Ekaki?


Nila bistrut Nava par ekaki pakshi
Pankh bistaarke udta hi rahta
 koi sighrataa hai kahin jane ki
Ekaki ekaki...mai ekaki samjha jata
Fir v ye manushya nahi samjhta
Ya samjhne se darta hi rahta
Islie ghar me rahta hai
Samaj basati banata hai
Kuchh sambandh pahle se hote -janam se
Kuchh bana dia jata
Kuchh swayam banata hai
Fir v in gharon me
Sare sambandho k rahte hue v
Hota ye ekaki hai.
Ye dukh ki v baat nahi hai
Yehi Aatma-dharm hai..
Ushe ekaki chalna hai..
Path v sunya hai...
Sansaar ki dhage, uski chahal pahal
Ek kothri hai-Yatri Nivas jeise kuchh
Ye sada ke lie nahi.
Bas kuchh kshyan ke lie
Fir wo anant yatra
Fir wo ekaki path
Aur akhand nirjanata...
Isme ...eise path par
Tumhare swar ka sunai dena...
Tumhare jeevan naatika ki sparsh mere dhamani me
Aur Tumhare atma-spandan mere Anahat Chakra me
Ye kahta hai-
Tumse mili thi kavi
jane kitni yug pahle ya haal hi me...
Aur agae jakar v milte rahna hai jane kab aur keise
Baar baar mile hein, milenge aur kayi baar...
Thake hue paksh mere yehi gate rahte hein...
Tum Sathi ho is nisang, sunya path par!
Fir v Tum ekaki aur mai v ekaki
Ab apne apne paridhi me...

No comments:

Post a Comment