Saturday, 13 September 2014

Panaah

Pahad ki choti ho...
Dur se niche sahar dik mik karta ho,
Jeise mutthi var taara ...
Aur pahad ki diwar ko satke mai khadi hun,
Pash me mere ek pathar ki chattan par -Tum!
Adha lete... Niche ki dikmik roshani ko nihar rahe ho...
Aur fir mai Tumhe bulati hun, naam se nahi, eise kuchh awaj se jo Tumhe pata ho, mujhe pata ho, hamare bich ki ho...
Aur Tum ankh uthae mere taraf dekhte ho,
Has kar,
Tumhare ankhon me gagan ki kuchh taraon ko phaste hue mai dekh leti hun,
Puchhti hun, to kuchh na bolte ho!
Saam chadh ati hai pahadi par andhera ke hath pakad kar,
Hamdono ko dekh kar nirmok utaarti hai,
Raat me tabdil ho jati hai dhire se..
Tum ushe puchhte ho, dekho, kahin se tumhe tarein najar ate hain kya!
Saham kar Tumse Raat reng ati hai mere taraf,
Lipat jati hai anchal me,
Tab mai puchhti hun-
Raat ko panaah dun kya!
Ab Tum ankh uthake fir se dekhte ho mujhe,
Aur Tumhare ankhon me taren nahi nila asman ka ek tukda fasha hai...
Kahte ho, taren to meine de diya, tum panaah de do...

Panah

No comments:

Post a Comment