Akash ki udasi
Aur ghash phul ka rona,
Dono mile, kar die suraj ko sarminda,
To bujha di kirne usne...
Aur eise ai saam, dhire se
Gagan ki kisi chhupi hui gufaa se utarke...
Ai to na khali hath,
Sath lai visarna mahogany rang kuchh,
Jisko canvas pe utarte utarte
Dharti bhul baithi sabuj-maya ki kaleen,
Aur mulaqat kar beithi Raat se ekaek...
Visarn saam se vidhur raat tak ka safar
Chhota hi sahi,
Jane wo Asmaan, jane ghasphul-
Dono ne milkar jahan
Udasi ki dhage se ashoun ki bundein piroi...
Raat ko taara ki kami na ho,
Yehi khwahish rakha hoga sayad!
...
No comments:
Post a Comment