Monday, 24 November 2014

_Abhijog Patra_









Tumhe kuchh gahra kuchh jeevan sparshi kuchh hriday ki kahun to mere majak udate ho, nafrat ki nigahon se dekhte ho...


Chulbuli si hun, halka phulka lagti hun
par halka phulka hun nahi...
Kya karun-
Halki phulki batein karni ati nahi..
Sayad wohi Tumhe pasand hai
Par lagta to nahi..


Kash ke dekhte mere muhn ko
Tumhare lalima se range hue...
Mere do ankhon me chhabi Tumhare -pratibimbit hote hue...


Chahte ho-ye sab me na kahun...
Sun to lo-fir kavi koi kahe na kahe..
is jeevan me kavi sunne ko mile na mile...



_Abhijog Patra_







•:*:• Aatmiyataa•:*:•

(((()))
Jis hisab se Tum khade rahte ho
Ek samandar ko samae sine me
Akash ki nilim vyapti ko bharke ankhon me
Thirakte Pavan ki siharit sambedan ko sajae sanso me
Prakritik lagte ho; Anant Jeevan ki pratichhabi lagte ho!


Niharika aur Chhaya-path ki bhavar jeise
purana lagte ho
Srishti ki rahasyon ki bahu-shrinkhalaa me se
Koi jana-suna sa pariseema lagte ho!
Jaanti hun...han, mai jaanti hun Tumhe
Jane kabse, par achhi tarha se-
Ye bhav jagate ho...
Chhati me mere ankush dale apne se jodte ho.


Wo huliya, wo chand-ubhra-sundar kamaniya lalaat,
Wo chikmik janta sunta ankein
Wo muhn- uski rekhankit paridhi
Jeise chhapi hui hai mere bhitari kisi hissa me...
Ajnabion ki bheed me mere ek hi ristedaar lagte ho!


Ye rom rom kyun kampe
Ye chhati uthe pade-bhar jae-phule lahar lahar hoye...
Jhar jhar jhare -rukena ye ankhein
Jab Tumhe ye hruday Aatmiya kahe
Atma se jude.


•:*:• Aatmiyataa•:*:•

Sunday, 23 November 2014

🌷 Snehaarchan🌷

🌷 Snehaarchan🌷


Ishwar ki pratima ko subah subah pujari-sevak sarv pratham pada-padm me sparsh karta hai prem se...
Agar bhav-bivor ho jae to...
Eise hi dhare rahta hai kuchhi kshyan...
Na gyan, na Chaitanya, na samay ki jaanch...
Kuchhi der eise hi pada rahta hai...
Bhagwan aur Bhakt bandhe pade rahte hein
Ek Sutra me...
Na Prabhu bolte hein
Na sevak bolta hai...
Than than ghantiyan bolte hein
Aur dono ko bandhe ek sutra bolta hai..

Fir jab Chetan laut ae
Sevak Ishwar pratima ko jalaavishek karata hai
Pad-padmo ko sajata hai
Chandan se, Phul se aur hriday-madhu se
Aur kahta hai-
Kuchh na de saka Prabhu Apko...
Kuchh na de saka...
Kuchh nahi hai mera-sab tera hai
Mai khud ka v nahi
Ye sneh bund Tere naam kiya
Pata nahi ye tera hai ya mera hai...


Bas dena kuchh tha Tumhe
Islie diya hai-
Ye kah kar apratibh hoke has deta hai...
Ishwar Pratima ki ankho ko dekhte hue
Khada hi rah jata hai...
Ishwar Pratima ke andar se muskurate hain...
Puja Archana wese hi wohin pe rah jata hai
Jane agae keise badhe....
🌸
When I look into your eyes,
I see myself with a different perspective
With an altogether different face- peering at me.


When I look into your eyes,
I see a world that was there for me
In the imagination only
Slowly opening up its doors for me in real.


When I look into your eyes,
I see the other side of me
And that completes the circle of life!